Best Men's grooming tips for Summer
Best Men's grooming tips for Summer
If,you are teenager, to AAP bilkul Sahi jagh aaye ho.. yaha ham jaanenge garmi se hone wali problems aur uske solutions. Dosto AAP jante ho ki summer season me face se related boht problems hojati hai..jiske wajh se hamari over face look boht dull hojati hai. Garmi me heat ,sweat aur pollution boht zyada bad jata hai. Uske wajh se Apne hair aur skin ki Jo quality hai wo kharab hojati hai. So friend apko summer ke time Apne hair, Skin damage Ko repair krna hai. I know teenagers Ko yeh problem boht Hoti hai. In dino mein apko herbal,organic products recommend karunga because organic products always Shi hote hai agr wo chaahe apki skin ho ya hair, organic product apko kisi bhi tarah ka nuksaan nahi denge. Ayurved ke hi product apke liye sahi saabit honge. Ayurveda me se,apko Aloe Vera se bane hue products use karna chahiye.
Because Aloe Vera me vitamin A,C,E,B12,BRADYKINASE paaye jaate hain. Vitamin A,C,E hamare skin aur baalo Ko zaruri nutrition Deete hai. Aur BRADYKINASE ek trah ka cooling element hai jo hamare skin ,aur baalo ki twacha Ko thandak deta hai. Aloe Vera ke gel Ko apply karne se aur bhi benefits milte hai aur hame 2 types ke harmones benefit bhi milenge AUXINS , GIBBERELLINS. Ye dono harmones ki benefits hai healing karna. Jaise agar apko koi body pe cut hogyi hai, bruise hogyi hai, ya pimples hogaye hain. Iske wajh se unko cooling milti hai, jaldi healing hone ki help Hoti hai. Garmi ke mausam me pimples sabko hojate hai,pimples marks reh jaate hai face par. Aur yhi nhi apke baalo ki quality bhi thodi si Kam hojati hai sweating ke wajah se. In sabhi chizo Ko counter karne ke liye Aloe Vera gel boht helpful hai. aur itna hi nahi hame garmi ke season me hamari diet me bhi thode changes karne chaiye. Because agar ham kuch zyada warm nutrient food consume karenge to hame face problems jhelni pad Sakti hai. Face ko aur face ke glow Ko maintain karne ke liye hame time to time Paani bhi peena chaiye. Jisse ki hamara face always fresh looking dikhe. Aur jitna ho sakhe chemical products se Bach ke rahein Kyun ki, chemical products hamari skin ke liye sahi nhi hoti hai, usse skin boht buri tarah damage hoskti hai aur cells dead hojaynge.jiske Kaaran hamari skin hmesha "dull" dikhegi. So my friends keep away from Chemical products. Aur boht si cheap companies Hoti hain jo Chemical preservatives Ko add kar ke "Organic" products ke Naam pe sell Karti hai..to meri advice hai ki hamesha trusted genuine brand se product purchase karein also aap purchase karte time hamesha product ke lebel , ingredients Ko check karein Aisa karne se apko product ki jankaari miljaygi.
Thode paise kharch karein quality products pe.
I recommend you to buy WOW facewash, because ye hai organic jo apki face skin ko koi bhi harm nahi dega. Quality budget friendly product hai zarur use kar ke dekhein.
Click the link to buy now
Chaliye baat krte hain ki Summer me skin protection aur hamare body ke liye kya karna chaiye.
Tips For Summer hack
1.Use Standard Organic face wash aur Quality facewash for face. Agar apko pimples hai to aap zarur garmi ke season me 3time face ko acche se wash karein. Kisi acche product Ko use kar ke.
2. Avoid oily spicy fast food. Ham sab jante hai ki oily spicy food India me boht khaate hai log. But summer season me Apne sipcy food Ko to boht Kam hi khana chaiye, uske kaaran apko pimples,acne ki problem face pe dikh Sakti hai.
3.
Eat summer special fruits. Jaise ki water melon, melon, Cucumber, pineapple jaise fruits khaayein. Because ye fruits me water content high hai..jiske kaaran ye apki body Ko hydrate rakhte hain. Aur apki body cool Rehti hai,Paani ki kami nhi hogi.
4.
Use Youghurt, curd(dahi) Dahi ek cool eating source hai. Khaas kar indian subcontinent me iske boht use hain, AAP chahe isko lunch ke time consume karsakte hai, ya fir iski tarah tarah ke dish Bana ke consume kar sakte hai..dahi khaane se bhi hamari body temperature cool rehta hai, energy Rehti hai aur meri ye advice hai ki summer me dahi (Curd) ko Apne diet me add karein.
5.
Drink water for proper hydration of your body. Summer season me khud Ko hydrate rakhne ke liye hame ek proper water amount Leni chaiye jisse ki hamari body hydrate Rahe.
6. Use face cover cloth made up of pure cotton to cover face. Hamare Desh me pollution to boht hai aur summer season me dirt aur pollution dono mix hoke hamare face pe jam jata hai.. to iska ek hi solution hai ki jab bhi aap din me Kahi bahr jaayein to Apne face ko proper cover kar ke jaaye. Ye apko pimples aane se bachaye rakhega aur skin bhi protected rahegi.
Special Note during Summer : always wear light colour shirts made up of cotton. Because cotton product is good to wear during summer. We sweat a lot in summer, that's why cotton is a good absorber of water. (Cotton se bane kapde summer me wear karein Kyun ki ye apke body sweat Ko boht ache se absorb kr leta hai...aur temperature me evaporate hone me help karta hai..so islye Cotton is best in Summer). Ye saari grooming tips Ko follow karein apko better results milenge.
Labels: Grooming
1 Comments:
Very informative and wonderful blog post. Thanks for sharing. For online discount codes and coupons please visit Ajio Free Shipping Offer
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home